Verse 1Aaj jan jeevan mein chhaai umang re
Liya masih ne avataar
Verse 2Nadiyaan magan hon, gaana sunaati
Parvat milaat hai raag
Jangal hai gaate oonche swaron mein
Jaage hai maanav ke bhaagya
Saagar ke garjan mein sunon re logo
Yeshu ka jai jaikaar
Verse 3Ghar ghar mein khushiyon ke deepak jale hai
Bhaaga andhere ka raaj
Baalak, yuvak vriddh hai gaate
Jhanak uthe hai saaj
Aanand se maanav ka man hai magan
Liya masih ne avataar
Verse 4Taare hai jalte maanav bhaagyapar
Khula hai neela aakaash
Prithvi hai harshit paakar masih ko
Aaya jahaan mein prakaash
Kaisa suhaavana bahaaro ka rang re
Liya masih ne avataar