Verse 1aakhiri narsinga phoonka jaane waala hai
tera mera sabka yeshu aane waala hai
tu kahaan hoga, tu kahaan hoga
Verse 2pahle to masih mein murde jee uthenge
baaki jo hum zinda hain badal jaayenge
pal bhar mein yeh dekho sabkuchh hone waala hai
tu kahaan hoga, tu kahaan hoga
Verse 3tere dil ke saare gum badhte jaayenge
beet gaye jo lamhen tere paas na aayenge
duniya mein tu tanha hi reh jaane waala hai
tu kahaan hoga, tu kahaan hoga
Verse 4teri daulat, teri shauhrat kaam na aayegi
ye sab cheezein pyaare tere saath na jaayengi
sab cheezon ka khatma jaldi hone waala hai
tu kahaan hoga, tu kahaan hoga