Verse 1Aao aao yeshu ke paas aao - vahi bulata abhi
Thake aur maande jo bozh se dave ho, muktidaata yeshu ke paas aao
Verse 2Yeshu masih ki pukaar ko sun kar-dhyaan kyon dete nahin?
Jag mein kitni musibat uthaate-mehnat karte chain nahin paate
Verse 3Ab bhi jagah hai bhai pukaarte, mauka phir milta nahin
Din hai bhaiyon gujra jaata, duniya par andhera chhata
Verse 4Kaal mari aur ladaai dekhte, tauva kyon karte nahin
Peshanagoiyaan poori hotin, vaapas aate hain saare yahoodi
Verse 5Yeshu masih ne tumhaare liye, apni jaan de di
Kroos par chadhkar lohoo bahaaya, taaki hove kaphaara hamaara
Verse 6Yeshu masih ke naam ke sivaay, mukti milti nahin
Usi mein hai paap se rihaai, vahi deta hai khusi bhai