Verse 1Aaraadhana, aaraadhana
Milkar karein hum aaraadhana -2
Haath uthaakar, mahima gaakar
Milkar karein hum aaraadhana -2
Verse 2Paapon ko tu, karta kshama
Rogon ko karta changa -2
Verse 3Zinda hai hum, tere liye
Tu hi hai shaanti khuda -2
Teri hi seva karta rahun main,
Jeevan bhar pyaare khuda -2
Verse 4Mardo ko tune, zinda kiya
Sheron ka munh band kiya -2
Verse 5Vah hai reham dil, saare jahaan mein
Kaamon mein kaamil khuda -2
Yeeshu masiha beta khuda ka,
Duniya ka vah baadshah -2