Verse 1Aasmaano mein hai, mera bhi ek makaan
Aasmaano mein hai, mera bhi ek makaan
Usmein rahenge hum jaakar, chhodenge jab yeh jahaan
Verse 2Main kahoon ghabraoon, mera bharosaa vahi
Usne kiya hai vaada, vaada hai saccha sahi
Jagah banaoon jaake, apne pita ke yahaan
Aasmaano mein hai, mera bhi ek makaan
Verse 3Likha gaya memne ki, pustak mein mera bhi naam
Mujh paapi par hua tha, uske poojan ka yeh kaam
Usne bachaaya hai mujhko, vah hai bada meherbaan
Aasmaano mein hai, mera bhi ek makaan
Verse 4Jhootho jahaan mein tasalli, kabhi nahin paaoge
Yeshu ke paas bojh laao, tabhi aaraam paaoge
Uske sang rahenge hum jaake, chhodenge jab yeh jahaan
Aasmaano mein hai, mera bhi ek makaan