Verse 1Ab aao pyaar se, ab aao dard se
Ab aao dholo apne aapko marzi se
Ab aao dekhlo, us behti dhaar ko
Jo batati hain us pyaar ko
Verse 2Ab aao paapiyon, ab aao dharmiyon
Ab aao saare sansaar ke jaatiyon
Ab aao dekhlo
Kya usne hain kiya
Hain hamaara dard seh liya
Kroos par jaan usne apni di
Mil gayi hame zindagi nayi
Yaad kar us behte sote ko
Jo baha tere liye, mere liye
Verse 3Wo chhalke gir raha, wo girke uth raha
Hain chupchaap wo kuch bhi na keh raha
Jo sehna tha hame paapi sansaar mein
Hain khuda ka beta seh raha
Verse 4Wo chhede haath hain, wo kaanto ka taaj hain
Wo latka kroos par, wo lagti pyaas hain
Wo kehta he pita tu inko maaf kar
Dheere se phir nikalti saans hain
Kroos par jaan usne apni di
Mil gayi hame zindagi nayi
Yaad kar us behte sote ko
Jo baha tere liye, mere liye