Verse 1Dekh tera raaja aata hai
Siyon ki beti khushi mana
Yarushalem ki beti magan ho ga
Verse 2Kyonki wohi dharmi hai
Kaamon mein nirdosh bhi hai
Paap rahit tera prabhu aata hai
Verse 3Mukti leke aata hai
Wo sanatan raaja hai
Prem sahit Yarushalem aata hai
Verse 4Namra wohi, deen bhi
Wo dayalu premi bhi
Manushyon mein mahaaraaja aata hai
Verse 5Raajkumaar wo shaanti ka
Daya se bhara hua
Mahima sahit Yeshu raaja aata hai
Verse 6Baadal par hua sawaar
Hum sabhon ka taaranhaar
Stuti ke sinhaasan par aata hai
Verse 7Daaud ka wo putra hai
Paapiyon ka taarak hai
Jai geet sahit Yeshu aata hai
Verse 8Bhai bahnon aao sab
Hosaana tum gaao sab
Halleluyaah Yeshu raaja aata hai