Verse 1Dhanya naam prabhu yeshu sunkar,
Darshan ko hum aaye hain,
Jai jai kaar karein sab milkar,
Yeshu raaj viraaje hain,
Jeevan daata, mukti daata,
Hum gaate hain teri mahima,
Verse 2Hum milkar sab bhakt yahaan,
Prabhu yeshu ke gun gaate hain,
Khoon bahaane waale prabhu ke,
Charanon mein sar ko jhukaate hain - 2,
Prabhu aate hain, gun gaate hain
Verse 3Bojh dabe, aur thake hue sab,
Yeshu ke dar aaye hain,
Wo hi uthaaye, wo hi bachaaye - 2,
Yeshu sharan mein aaye hain,
Prabhu aaye hain, sharan aaye hain
Verse 4Pyaase hain jeevan jal yeshu
Pyaas bujhaane aaye hain,
Bhukhe hai jeevan roti, prabhu
Bhukh mitaane aaye hain - 2,
Prabhu aaye hain, hum aaye hain,
Verse 5Sab milkar naachen gaayen
Prabhuvar jag aap hi aaye hain,
Na ab dukh na dard humein,
Prabhu yeshu mochan laaye hain - 2
Prabhu aaye hain, sab laaye hain