Verse 1Ko:- Dharti - aakash dono Prabhu ki aawaz sunenge
Sansaar ke sab praani, uska hi naam lenge
Verse 2Prabhu ka samay aata hai, dharti magan hogi
Uski daya barsegi aur door jalan hogi
Uske vachan ki mahima aur shakti hum dekhenge
Verse 3Prabhu ka vachan aisa hai, jo chiraag sa jalta hai
Us par koi chalta hai, jeevan use milta hai
Uske niyam ko jo maane, kabhi bhi na woh bhatkenge
Verse 4Aankhe uthakar dekho, Prabhu ka din aavega,
Usko grahan jo karenge, wahi saath jaayenge
Jisne Prabhu ko na maana, wahi ek din royenge