Verse 1Prabhu yeshu ke pavitra lahu se main bilkul dhul gaya
Uss pavitra lahu ki shakti se main jai lalkarunga
Mahima gaata, stuti ho sarvada
Paap ke dal dal se mujhe nikala
Jeevan bhar teri hi karunga main stuti rahunga aagyakari (2)
Verse 2Apne bhagya ke khyal se dil uchhalta khushi se
Duniya ke sukh hai phike uss khushi ki raunak se
Sanatan rajya main dooton sang bhajunga yeshu ke stuti mein mahima karunga
Yeshu ke khoon ne laya rang iss roop mein yugaanuyug ke liye (2)
Verse 3Mahimamaya siyon rajya mein jald uthaya jaunga
Mere saare klesh mit jayenge jab wahan main pahunchunga
Paunga abdi anand aur khushi jo kabhi bhi mujhse chhini na jayegi
Anand ke geet main gaunga har samay raja yeshu ke saamne (2)