Verse 1raaja yeshu, swargiy saamarth ke saath aa rahaa hai
apne sang vo, aanand shaanti aur jeevan laayaa hai
apne dil ham, kadmon me saare hee uske bichhaa de
taiyaaree, kare vakt aayaa yeshu se milne kaa
Verse 2jayjaykaar ham kare aaraadhanaa kare
aadar aur sammaan se, dil se prashansaa kare
raaja yeshu swargiy dooto ke sang aa rahaa hai
apne sang vo aashish, changaai, prem laayaa hai
Verse 3raaja yeshu mahaan hai, koi na uske samaan hai
duniyaa mein jitne bhee naam hai, sabse unchaa yeshukaa hee naam hai.
Verse 4raaja yeshu, swargiy senaao ke saath aa rahaa hai
meraa raajaa, shaitaan kaa sarvanaash karne aayaa hai