Verse 1Siyon ka yaatri hun, Yeshu par aashrit hun
Jaata hun kalvari ke raah mein
Verse 2Yaatra kar raha hun main, mukti ki raah mein
Yaatra hai vishwas ki, nahin hai drishti ki (2)
Thokarein, mushkilein aati hain is raah mein
Dar nahin, Yeshu mere saath mein (2)
Verse 3Mere yogya hai nahin, sansaar yeh kabhi
Dukh nahin hai mujhko, Yeshu mein khush hun (2)
Yeshu ko kaanto ka taaj, dene waale sansaar
Tere maan sammaan se, karun kyun pyaar (2)
Verse 4Hai gawahon ka samooh, mere chaaron or
Isliye main nahin hounga kamzor (2)
Moh se, paap se, naata apna todkar
Aage badhta Yeshu ko, main taak kar (2)