Verse 1Teri hai zameen tera aasmaan,
Tu bada meherbaan tu bakhshish kar,
Sabhi ka hai, tu sabhi tere,
Khuda mere tu bakhshish kar
Verse 2Teri marzi se ae maalik
Hum is duniya mein aaye hain,
Teri rehmat aur qudrat se
Ye jism aur jaan paaye hain,
Tu apni nazar hum par
Rakhna kis haal mein hain
Ye khabar rakhna... teri hai...
Verse 3Tu chahe to humein rakhe
Tu chahe to humein maare,
Tere aage jhukakar sar
Khade hain aaj hum saare,
O sabse badi taakat waale
Tu chahe to har aafat taale
Teri hai zameen...