Verse 1Yeshu ke charano me hum betkar sunenge
Uske Pavithra vachan hai humara jeevan bal
Yeshu ka sandesh hai dhanya jeevan updesh hai (2)
Sunenge hum thamenge hum Jeevan ke vachan ko (2)
Verse 2Prabhu ka vachan me hai, jeevan aur samarth be
Athma ka udhaar hoga dil me thame tho
Athma ka mruthyu hatte dhaarmik bankar raj kare (2)
Sunenge hum thamenge hum Jeevan ke vachan ko (2)
Verse 3Andhe ko najar dene ko vachan bana gyanvaan
Sachai me palan karne, swarg ka dan hai wo
Ananth mruthyu dur hoga Marge ke liye jyothi (2)
Sunenge hum thamenge hum Jeevan ke vachan ko (2)
Verse 4Sathya Prabhu ke bhakt saare Vachan ko thamthe hai
Bale kaamo ke liye wo balwanth banthe hai
Prabhu ka Prasanatha, Hai sarvada harshita (2)
Sunenge hum thamenge hum Jeevan ke vachan ko (2)
Verse 5Sansar bhi hat jayega prithvi talega
Uska vachan paalan kare bhakth sarvada
Murjahat,malintha Na taltha virasath (2)
Sunenge hum thamenge hum Jeevan ke vachan ko (2)