Verse 1Yeshu masih bharosa mera,
Tu hi sahara hai mera,
Mushkil samay mein tu hi dilasa,
Saath rahega tu sada
Verse 2Karuna bhalai teri
Sada rahegi mujh par
Teri vishwas yogyata
Dekhunga main umr bhar
Verse 3Main haath uthakar gaaunga,
Yeshu tera naam rahe uncha.
Main haath uthakar gaaunga,
Yeshu tera naam rahe uncha.
Verse 4Maut se hai bachaya tune
Jeevan naya hai de diya
Naam le kar pukara mujhe
Mahima se mujhko bhar diya
Verse 5Karuna bhalai teri
Sada rahegi mujh par
Teri vishwas yogyata
Dekhunga main umr bhar
Verse 6Main haath uthakar gaaunga,
Yeshu tera naam rahe uncha ....2
Verse 7Aadar aur mahima ho teri
Tu hi hamara khuda
Puri ho teri hi marzi
Aaye tera raj yahan ...2
Verse 8Hum haath uthakar gayenge
Yeshu tera naam rahe uncha