Verse 1khushi mein yaaron maza hi maza hai,
aasuda kar de vo aisi ghiza hai
nafrat se tapati dupahari mein bhi
ulfat se meheki vo thandi fiza hai
Verse 2kisne na paaya deedar uska
gar banakar aaya talabgaar uska
doori khuda se, ae mere yaaron,
sah na sakoge, yeh aisi saza hai
Verse 3kab tak yun aahein bharte jiyoge,
talakhi ka pyaala yun kab tak piyoge
aao piyo zindagi ka paani,
rooh aur dulhan ki yahi iltiza hai