Verse 1Yeshu mere, swami mere
Nahi koi tere samaan
Yeshu mere, jeevan mere
Prabhu tu hai sabse mahaan
Aaradhana… hallelujah…
Verse 2Dukh aur dard se tha mai behaal
Shaanti dene, tu aaya paas
Meri laachaari mein, bal diya tune
Mitra nahi koi tere samaan
Aaradhana... hallelujah…
Verse 3Mai bethikaana bhatakta raha
Aasra dene, tu aaya paas
Seene se laga ke, aansu mitaaye
Premi nahi koi tere samaan
Aaradhana… hallelujah…
Verse 4Vaidyo ne chhodi, jab saari aas
Changai dene, tu aaya paas
Kodo ke ghaavo se, changa hua mai
Vaidya nahi koi tere samaan
Aaradhana… hallelujah…